Posts

Showing posts from April, 2022

Desolation

Image
  Judai ki kesi hai ye qism ? Ke Na tu hai ab Na hai parchai teri Dard se bhara phir hai ye jism Khamosh sa tha ye kesa sitam ? Nahi reh paonga ab kesy  Mat puchna kab, kiun kahan or kesy Puray din yaad teri, baat teri Ma akela, udas, toota hua or raat meri dubara jeenay ko ab jee nai karta  Yaad se teri phir mera jee nahi bharta Ma tere pas jab Or tu mjh se dur ab Kaash na hota ma is trha ghafil tjh se Ke smjh sakta tjhy ma thora or khud se

Aakhir Kab Tak???

 Na kamiyon ko liye phir kesy phirengay??               Aj nai, abhi nai, tw phir kab uthengay??             Urooj paya hai magar shikast ke baad??           Zindagi deti ye kisi kisi ko sawad??                             Is morr pr kiun zindagi ajati hai??                               Ke har taraf phir bandagi chaa jati hai??         Kamtar insan ko jis trha chaba jati hai??                   Ke andehron ma gherr kr jesy khaa jati hai??   Ajeeb se shor ma jo samaya hun ma??                     Kisi ke zor ma na phir kabhi aya hun ma??       Chalty chalty jo ab is morr pe aya hun ma??     Gurur ma dobi har ankh nichor aya hun ma??     Dikhta nai hai koi raasta phir kiun??                   Moat hi kiun phir dikhai deti hai??                     Apnay bhi kehne lagty hain jab bechara??             Esy ma kiun koi banta nai hai sahara??               Phir moat ka taiyyun kr ke jab kia hai kinara??     Janazay pr hi rotay huay phir kiun sab ne hai   pukara??                             

Labour Day

Image
  Bhook pyas ki jinhen fikar nai hoti, Sar pe jinke chat nai hoti, Zameen pr soney ma jinhe alkasahat nai hoti, Phatay purany kapray pehen kar jinhe hichkichahat nai hoti, Hateliyan chill jati hain jinki is qadar, Mehnnat karty hain ye din raat magar, Ghr or ghr walon se jo dur hain, Roti kamanay ke liye jo behad majbur hain, Ye koi or nai balke mehnnat kash mazdur hain.

Sewerage Water Karachi

 شہر قائد جو دیتا ہے ملک کو بے حد فوائد مگر انتظامیہ ہے غائب سڑکوں پر بہتا یہ گندہ پانی بتا رہا ہے غفلت کی ایک کہانی جہاں عوام ہے پریشان جو گزرتی ہے ان راستوں سے صبح شام نہ چل سکتا ہے بندہ پیدل صرف چل سکے جہاں سائیکل کا پیڈل پرسان حال نہیں جہاں کوئی ووٹ لینے آ جاتا ہے ہر کوئی پڑتا ہے جو واسطہ میرا بھی رکتا ہے جب راستہ میرا بھی موڑ لیتا ہوں میں اپنے قدم ایسے انتہا کی غلاظت ہو سڑک پر جیسے بک رہی ہیں اشیاء بھی وہی جراثیم جیسے ہیں ہی نہیں کہیں امید باندھے ہوئے ہے عوام کہ انتظامیہ کبھی تو کرے گی کام

Stray Dogs

Image
  Makhlooq-ey khuda hain ye, Jangli hain, magr bezuban hain ye . Thuthkaary jaty hain ye magar , Unsiyat ke talabgaar hain ye . Keh nahi sakty baat apni ye , ke jeenay ke khuahishmand hain ye . Jaan apni bachae phirty hain ye , Ke kahin kisi ke hathon maray na jaen ye . Aziz inke bhi hoty hain jinhe ye , Marta dekhtay, kho dete hain ye . Koi thikana nahi mangtay ye , Maaray jaty hain khulay-aam ye . Deta nahi koi pyar inko , Be-rehmi sehtay hain , kia ese hain ye? Rehem, shafqat, pyar mangty hain ye , Jangli hain, magar bezuban hain ye .

Global Warming

Image
  Kehty hain hum jisy global warming Deti hai ye dunya ko khulay aam warning Industrialization ho ya ho farming Zindagi rehti hai ab under warning Kachra bhi hai jahan ma jalta Duniya ko ye bhi hai khalta Dhuaan uthty dekho ge tum jahan Khatraat mandlaty hain ab yahan Aaluda hai sar zameen or asmaan bhi Katay hain darakht hum insano ne hi Hum insan hain iske zimehdar is qadar Ke Barhti tarakkiyon ke agay andhy hain magar Tarakki yafta mansobon ka ho jesy muqabla Betha hai logon ka jesy be-ghar qaafla Jungle hai na hai haryali Ye duniya junglon ke bina hai jesy khali Is duniya ki in darkhton ke bina hai jaan jati Ye duniya nahi hai humse ab sambhali jati